Kia Phir Yeh Zamana Jeet Gaya

I remember this poem since I was a kid, in my early teenage. A beautiful poem, believe me, I never knew the feelings it’s trying to convey at that time even!

Here you go with this wonderful poem, kya phir yeh zamana jeet gaya:

Wo Raatain Mousam-e-sarma Ki
Wo Baatain Mousam-e-sarma Ki

Wo Terey Saath He Sub Kuch Tha
Wo Serma Bhi Ab Beet Gaya

Wo Dur Dur K Jub Miltey They
Wo Mil Mil K Jub Durety They

Wo Milney Ki Kasmain Kha Kha Ker
Hum Jeetey They Hum Mertey They

Ab Yaad Dilaaye Koun Tumhain
Ye Saal Bhi Aakhar Beet Gaya

Naa Tum Aye Na Koi Khut Likha
Pora Kia Na Waada Koi

Aur Apna Bhi Koi Dosh Nuhi
Ye Baazi Bhi Jug Jeet Gaya

Wo Serd Huwaain Ab Bhi Hain
Rangeen Fizaain Ab Bhi Hain

Wo Bheegey Bheegey Paani Ki
Pur Shore Sadain Ab Bhi Hain

Main Ab Bhi Udher Ko Jata Hoon
Aur Dil Apna Sulgaata Hoon

Jub Tum Nuhi Hotey Saath Merey
Hotey Hain Khaali Haath Merey

Pur Shore Sadain Poocheti Hain
Wo Serd Huwain Poocheti Hain

Wo Kahan Gaya Saathi Tera????
Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya!!!!!!!!!!!!!!

One thought on “Kia Phir Yeh Zamana Jeet Gaya”

  1. This poem just reminded me of my good old days at iimc. Is there anyone from session 2000???
    Miss you all a lot!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *